Tushar Joshi – Rasiya Lyrics

Mera darpan akhiyaan teri
Tujh ko tarse ratiyaan meri
Jeena mujhko raas aane laga
Jab se chahki batiyaan teri

Jogan, tera maara rasiya
Jag jeeta, dil haara rasiya
Pag tere chaubare thahre
Sadqe main banjaara rasiya

Rasiya ye tera hua, tune jiya moh liya
Rasiya ne tera hai jo wahi tujhe saup diya

Mera sarmaaya hai tu, tera sarmaaya hoon main
Aaja, mujhe seench de, murjhaaya hoon main
Jaise mera daaman hai tu aur teri chhaaya hoon main
Tabhi tera baawra kehlaaya hoon main

Teri baanhon mein hoke lagta hai ki zameen pe
Jannat sach mein agar kahin hai (yahin hai)

Ban kar tera yaara rasiya
Soche na dobaara rasiya
Pag tere chaubare thahre
Sadqe main banjaara rasiya

Rasiya ye tera hua, tune jiya moh liya
Rasiya ne tera hai jo wahi tujhe saup diya

Ma, ga, re, sa, ma
Rasiya, rasiya, tu mera
Rasiya, rasiya

Comments (0)