Noor Chahal – Khat Lyrics

Folk

Meri jaan sama hai ye
Pyaar ka mujhe khat mila
Mere yaar kaa
Gaaye ye zameen jhumein aasmaan
Mil gaya pata dil faraar ka

Dil mein thehri si koi betaabi hai wo
Behta paani kabhi lehron saa baaghi hai wo
Haan Dil mein thehri si koi betaabi hai wo
Behta paani kabhi lehron saa baaghi hai wo

Thoda kitaabi harr lafz gulaabi
Ussne likha mere naam kaa
Wo aayegaa mushkuraayega
Waqt uss hasi ke deedar ko

Meri jaan sama hai ye
Pyaar ka mujhe khat mila
Mere yaar kaa

Gaaye ye zameen jhumein aasmaan
Mil gaya pata dil faraar ka

Aasmaani huyi mai diwani huyi
Yeh zameen begaani mai hawa mein hoon
Jo wo aaye seene se lagaaye
Yun hi reh jaaye paas mere roobaru

Vaari jaun diwali eid manaun
Khatm silsilaa intezaar ka

Meri jaan sama hai ye
Pyaar ka mujhe khat mila
Mere yaar kaa

Gaaye ye zameen jhumein aasmaan
Mil gaya pata dil faraar ka

Royi ye zameen roya aasmaan
Roya dil mera zaro zar tha

Comments (0)