Fotty Seven – Veham Lyrics

Rooh talak utra jo andhera
Barson nazar aaya na savera
Rooh talak utra jo andhera
Phail gaya tanhaai ka ghera

Har yaqeen kho gaya
Aur gumaan bo gaya
Har yaqeen kho gaya
Aur gumaan bo gaya

Ab sar pe taari veham hai
Yaaron ki yaari veham hai
Aur ishq-khumaari veham hai
Sab veham hai, veham hai, veham hai

Ab jism ka pinjar veham hai
Har dilkash manzar veham hai
Bas zehen ke andar veham hai
Sab veham hai, veham hai, veham hai

Faani, hai faani, jab saari duniya faani
Toh kya hai, zindagaani hai beimaani
Hai jo ravaani, yeh waqt ki ravaani
Yeh qaaboo mein na aani hai bemaani (bemaani)

Jo dua sa mila
De gaya woh gila
Jo dua sa mila
De gaya woh gila

Ab dil pe bhaari veham hai
Har ek aazaari veham hai
Aur duniyadaari veham hai
Sab veham hai, veham hai, veham hai

Ab jism ka pinjar veham hai
Har dilkash manzar veham hai
Bas zehen ke andar veham hai
Sab veham hai, veham hai, veham hai

Maazi se khafa hona
Farda se juda hona
Yoon hone se behtar hai
Ek roz fana hona

Zarre ke baraabar bas
Iss zeest ki qeemat hai
Hasti ka haqeer hona
Haaye, kya azeeyat hai

Jo mili hai saza
Marz hai laa-dawa
Jo mili hai saza
Marz hai laa-dawa

Ab dard-shumaari veham hai
Beja khuddaari veham hai
Jo umr guzaari veham hai
Sab veham hai, veham hai, veham hai

Ab jism ka pinjar veham hai
Har dilkash manzar veham hai
Bas zehen ke andar veham hai
Sab veham hai, veham hai, veham hai

(Veham hai)
(Veham hai)
(Sab veham hai, veham hai, veham hai)
(Veham hai)
(Sab veham hai, veham hai, veham hai)

Comments (0)